Sher of Saeed Ahmad Akhtar
sajda kahāñ lagā hai hamārī jabīn kā
charchā hai phir falak pe tire dar-nashīn kā
sajda kahan laga hai hamari jabin ka
charcha hai phir falak pe tere dar-nashin ka
ye mirā ilhām hai vo mirī tadbīr hai
maiñ na junūñ kā asiir maiñ na ḳhirad kā ġhulām
ye mera ilham hai wo meri tadbir hai
main na junun ka asir main na KHirad ka ghulam
pūchhtā koī nahīñ paḌhtā mujhe har ek hai
jaise 'manto' kā koī badnām afsāna huuñ maiñ
puchhta koi nahin paDhta mujhe har ek hai
jaise 'manto' ka koi badnam afsana hun main
muddat se ḳhāmushī hai chalo aaj mar chaleñ
do-chār din to ghar meñ zarā anjuman rahe
muddat se KHamushi hai chalo aaj mar chalen
do-chaar din to ghar mein zara anjuman rahe
maiñ faqīr huuñ duā hai
mire paas aur kyā hai
main faqir hun dua hai
mere pas aur kya hai
ki jaise sehn-e-gulistāñ meñ pyaar kā mausam
khulī jo aañkh tumhārī to khul gayā mausam
ki jaise sehn-e-gulistan mein pyar ka mausam
khuli jo aankh tumhaari to khul gaya mausam
aayā thā sun ke shahr meñ daulat kī rel-pel
kal mill meñ kaT ke mar gayā beTā kisān kā
aaya tha sun ke shahr mein daulat ki rel-pel
kal mill mein kaT ke mar gaya beTa kisan ka
tirā kirdār kitnā muḳhtalif hai
tirī tārīḳh terī dāstāñ se
tera kirdar kitna muKHtalif hai
teri tariKH teri dastan se
kitāb-e-ishq likh rakkhī hai dil par
magar Dartā huuñ phir bhī imtihāñ se
kitab-e-ishq likh rakkhi hai dil par
magar Darta hun phir bhi imtihan se
kal raat jis ko chāñd samajhte rahe the ham
kangan uchhal gayā thā kisī nāznīn kā
kal raat jis ko chand samajhte rahe the hum
kangan uchhal gaya tha kisi naznin ka
mire to phuul bhī tum ho sabā bhī ḳhushbū bhī
nahīñ ho tum to nahīñ mere kaam kā mausam
mere to phul bhi tum ho saba bhi KHushbu bhi
nahin ho tum to nahin mere kaam ka mausam
sulag rahā hai chaman meñ bahār kā mausam
kisī hasīn ko āvāz do ḳhudā ke liye
sulag raha hai chaman mein bahaar ka mausam
kisi hasin ko aawaz do KHuda ke liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merī vafā hai merī zamīñ se juḌī huī
pahlā sabaq hai merā vatan mere diin kā
meri wafa hai meri zamin se juDi hui
pahla sabaq hai mera watan mere din ka
aap hairāñ kyuuñ haiñ merī aañkh se dekheñ ise
ye mire album kī sab se dil-nashīñ tasvīr hai
aap hairan kyun hain meri aankh se dekhen ise
ye mere album ki sab se dil-nashin taswir hai
shabāb tum se karegā jo tum ne ham se kiyā
tumhārā husn bhī niklegā bevafā mausam
shabab tum se karega jo tum ne hum se kiya
tumhaara husn bhi niklega bewafa mausam
hañsiye charāġh ujāliye paude lagā.iye
kuchh hausla baḌhā.iye būḌhī zamīn kā
hansiye charagh ujaliye paude lagaiye
kuchh hausla baDhaiye buDhi zamin ka
tumhāre bāloñ se gāloñ se kheltā mausam
maiñ dekhtā hī rahā aur guzar gayā mausam
tumhaare baalon se galon se khelta mausam
main dekhta hi raha aur guzar gaya mausam
kabhī utrā nahīñ jo āsmāñ se
vafā utregī us dil par kahāñ se
kabhi utra nahin jo aasman se
wafa utregi us dil par kahan se
ek ham tīnoñ meñ mar jaa.e to chhap jā.egī
likh to rakkhī hai tirī prem kahānī maiñ ne
ek hum tinon mein mar jae to chhap jaegi
likh to rakkhi hai teri prem kahani main ne
is Dar se rok rakkhe haiñ aañsū 'sa.īd' ne
āñchal na bhiig jaa.e kisī gul-jabīn kā
is Dar se rok rakkhe hain aansu 'said' ne
aanchal na bhig jae kisi gul-jabin ka
ye ḳhūbī hai ki nā-ḳhūbī magar maiñ
alag chaltā huuñ apne kārvāñ se
ye KHubi hai ki na-KHubi magar main
alag chalta hun apne karwan se