Shahid Zaki
Ghazal 18
Sher-o-Shayari 11
maiñ badalte hue hālāt meñ Dhal jaatā huuñ
dekhne vaale adākār samajhte haiñ mujhe
main badalte hue haalat mein Dhal jata hun
dekhne wale adakar samajhte hain mujhe
-
Share this
- See Ghazal
maiñ sar-ba-sajda sakūñ meñ nahīñ safar meñ huuñ
jabīñ pe daaġh nahīñ aabla banā huā hai
main sar-ba-sajda sakun mein nahin safar mein hun
jabin pe dagh nahin aabla bana hua hai
-
Share this
- See Ghazal
phaloñ ke saath kahīñ ghoñsle na gir jaa.eñ
ḳhayāl rakhtā huuñ patthar uchhāltā huā maiñ
phalon ke sath kahin ghonsle na gir jaen
KHayal rakhta hun patthar uchhaalta hua main
-
Share this
- See Ghazal
raushnī bāñTtā huuñ sarhadoñ ke paar bhī maiñ
ham-vatan is liye ġhaddār samajhte haiñ mujhe
raushni banTta hun sarhadon ke par bhi main
ham-watan is liye ghaddar samajhte hain mujhe
-
Share this
- See Ghazal
yaar bhī raah kī dīvār samajhte haiñ mujhe
maiñ samajhtā thā mire yaar samajhte haiñ mujhe
yar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe
main samajhta tha mere yar samajhte hain mujhe
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 3
ab tirii yaad se vahshat nahii.n hotii mujh ko zaKHm khulte hai.n aziyyat nahii.n hotii mujh ko ab ko.ii aa.e chalaa jaa.e mai.n KHush rahtaa huu.n ab kisii shaKHs kii aadat nahii.n hotii mujh ko aisaa badlaa huu.n tire shahr kaa paanii pii kar jhuuT boluu.n to nadaamat nahii.n hotii mujh ko hai amaanat me.n KHayaanat so kisii kii KHaatir ko.ii martaa hai to hairat nahii.n hotii mujh ko tuu jo badle tirii tasviir badal jaatii hai ra.ng bharne me.n suhuulat nahii.n hotii mujh ko aksar auqaat mai.n ta.abiir bataa detaa huu.n ba.az auqaat ijaazat nahii.n hotii mujh ko itnaa masruuf huu.n jiine kii havas me.n 'shaahid' saa.ns lene kii bhii fursat nahii.n hotii mujh ko