ALL
Profile
Ghazal89
Nazm61
Sher105
E-book120
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari26
Audio25
Video11
Blog1
Doha1
Other
Shahryar
Ghazal 89
Nazm 61
Sher-o-Shayari 105
shadīd pyaas thī phir bhī chhuā na paanī ko
maiñ dekhtā rahā dariyā tirī ravānī ko
shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko
main dekhta raha dariya teri rawani ko
-
Share this
- See Ghazal
jahāñ meñ hone ko ai dost yuuñ to sab hogā
tire laboñ pe mire lab hoñ aisā kab hogā
jahan mein hone ko ai dost yun to sab hoga
tere labon pe mere lab hon aisa kab hoga
-
Share this
- See Ghazal
justujū jis kī thī us ko to na paayā ham ne
is bahāne se magar dekh lī duniyā ham ne
justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne
is bahane se magar dekh li duniya hum ne
-
Share this
- See Ghazal
siyāh raat nahīñ letī naam Dhalne kā
yahī to vaqt hai sūraj tire nikalne kā
siyah raat nahin leti nam Dhalne ka
yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka
-
Share this
- See Ghazal
shikva koī dariyā kī ravānī se nahīñ hai
rishta hī mirī pyaas kā paanī se nahīñ hai
shikwa koi dariya ki rawani se nahin hai
rishta hi meri pyas ka pani se nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
Doha 1
BOOKS 120
Image Shayari 26
zindagii jab bhii tirii bazm me.n laatii hai hame.n ye zamii.n chaa.nd se behtar nazar aatii hai hame.n surKH phuulo.n se mahak uThtii hai.n dil kii raahe.n din Dhale yuu.n tirii aavaaz bulaatii hai hame.n yaad terii kabhii dastak kabhii sargoshii se raat ke pichhle-pahar roz jagaatii hai hame.n har mulaaqaat kaa anjaam judaa.ii kyuu.n hai ab to har vaqt yahii baat sataatii hai hame.n
dard ke phuul bhii khilte hai.n bikhar jaate hai.n zaKHm kaise bhii ho.n kuchh roz me.n bhar jaate hai.n raasta roke kha.Dii hai yahii uljhan kab se ko.ii puuchhe to kahe.n kyaa ki kidhar jaate hai.n chhat kii ka.Diyo.n se utarte hai.n mire KHvaab magar merii diivaaro.n se Takraa ke bikhar jaate hai.n narm alfaaz bhalii baate.n mohazzab lahje pahlii baarish hii me.n ye rang utar jaate hai.n us dariiche me.n bhii ab ko.ii nahii.n aur ham bhii sar jhukaa.e hu.e chup-chaap guzar jaate hai.n