Sher of Tabish Dehlvi
zarre meñ gum hazār sahrā
qatre meñ muhīt laakh qulzum
zarre mein gum hazar sahra
qatre mein muhit lakh qulzum
ā.īna jab bhī rū-ba-rū aayā
apnā chehra chhupā liyā ham ne
aaina jab bhi ru-ba-ru aaya
apna chehra chhupa liya hum ne
abhī haiñ qurb ke kuchh aur marhale baaqī
ki tujh ko pā ke hameñ phir tirī tamannā hai
abhi hain qurb ke kuchh aur marhale baqi
ki tujh ko pa ke hamein phir teri tamanna hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shāhoñ kī bandagī meñ sar bhī nahīñ jhukāyā
tere liye sarāpā ādāb ho ga.e ham
shahon ki bandagi mein sar bhi nahin jhukaya
tere liye sarapa aadab ho gae hum
chhoTī paḌtī hai anā kī chādar
paañv Dhaktā huuñ to sar khultā hai
chhoTi paDti hai ana ki chadar
panw Dhakta hun to sar khulta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download