aan pahunche hain ye kahan hum log
aan pahuñche haiñ ye kahāñ ham log
ab zamīñ haiñ na āsmāñ ham log
kal yaqīñ bāñTte the auroñ meñ
ab haiñ ḳhud se bhī bad-gumāñ ham log
kin havāoñ kī zad meñ aa.e haiñ
ho ga.e haiñ dhuāñ dhuāñ ham log
chup to pahle bhī jhelte the magar
is qadar kab the be-zabāñ ham log
kab mayassar koī kināra ho
kab sameTeñge bādbāñ ham log
ban ga.e raakh ab na-jāne kyuuñ
the kabhī sho.ala-e-tapāñ ham log
ham ko jaanā thā kis taraf 'razmī'!
aur kis samt haiñ ravāñ ham log
aan pahunche hain ye kahan hum log
ab zamin hain na aasman hum log
kal yaqin banTte the auron mein
ab hain KHud se bhi bad-guman hum log
kin hawaon ki zad mein aae hain
ho gae hain dhuan dhuan hum log
chup to pahle bhi jhelte the magar
is qadar kab the be-zaban hum log
kab mayassar koi kinara ho
kab sameTenge baadban hum log
ban gae rakh ab na-jaane kyun
the kabhi shoala-e-tapan hum log
hum ko jaana tha kis taraf 'razmi'!
aur kis samt hain rawan hum log
- Book : Pakistani Adab (Pg. 445)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.