bahut chup hun ki hun chaunka hua main
bahut chup huuñ ki huuñ chauñkā huā maiñ
zamīñ par aa girā uḌtā huā maiñ
badan se jaan to jā hī chukī thī
kisī ne chhū liyā zinda huā maiñ
na jaane lafz kis duniyā meñ kho.e
tumhāre sāmne gūñgā huā maiñ
bhañvar meñ chhoḌ aa.e the mujhe tum
kināre aa lagā bahtā huā maiñ
ba-zāhir dikh rahā huuñ tanhā tanhā
kisī ke saath huuñ bichhḌā huā maiñ
chalā aayā huuñ sahrāoñ kī jānib
tumhāre dhyān meñ Duubā huā maiñ
ab apne-āp ko ḳhud DhūñDhtā huuñ
tumhārī khoj meñ niklā huā maiñ
mirī āñkhoñ meñ aañsū to nahīñ haiñ
magar huuñ ruuh tak bhīgā huā maiñ
banā.ī kis ne ye tasvīr sachchī
vo ubhrā chāñd ye Dhaltā huā maiñ
bahut chup hun ki hun chaunka hua main
zamin par aa gira uDta hua main
badan se jaan to ja hi chuki thi
kisi ne chhu liya zinda hua main
na jaane lafz kis duniya mein khoe
tumhaare samne gunga hua main
bhanwar mein chhoD aae the mujhe tum
kinare aa laga bahta hua main
ba-zahir dikh raha hun tanha tanha
kisi ke sath hun bichhDa hua main
chala aaya hun sahraon ki jaanib
tumhaare dhyan mein Duba hua main
ab apne-ap ko KHud DhunDhta hun
tumhaari khoj mein nikla hua main
meri aankhon mein aansu to nahin hain
magar hun ruh tak bhiga hua main
banai kis ne ye taswir sachchi
wo ubhra chand ye Dhalta hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.