bas ek kashakash ka silsila hai azal se jo aaj tak raha hai
bas ek kashakash ka silsila hai azal se jo aaj tak raha hai
Ehsan Darbhangavi
MORE BYEhsan Darbhangavi
bas ik kashākash kā silsila hai azal se jo aaj tak rahā hai
falak kī munkir zamīñ rahī hai zamīñ kā munkir falak rahā hai
hai apne baazū pe naaz jin ko vo zor baazū kā aazmā leñ
vo saaz kī samt kyā baḌhegā jo haath shamshīr tak rahā hai
kahīñ na sailāb-e-karb ban kar ubal paḌe naġhma zindagī kā
haTā le ab apnā haath mutrib ki saaz kā dil dhaḌak rahā hai
tumhārī baḳhiya-garī musallam magar kahāñ tak rafū karoge
mire garebāñ kā haal ye hai jagah jagah se masak rahā hai
lagegī Thokar jo rāste meñ to ab na shāyad sañbhal sakeñge
ḳhayāl ik un kā ham-safar thā so vo bhī dāman jhaTak rahā hai
rivāyatoñ kī kamī nahīñ hai hidāyatoñ kī kamī nahīñ hai
qadam qadam pe khaḌe haiñ rahbar magar zamāna bhaTak rahā hai
mizāj teshoñ kā muzmahil hai uThāo sāz-e-shikasta 'ehsāñ'
sunāo maazī ke kuchh tarāne ki haal kā dil dhaḌak rahā hai
junūñ kā mausam jo aa rahā hai to aql kā dil dhaḌak rahā hai
idhar bhī dāman pe haiñ ḳharāsheñ udhar bhī āñchal masak rahā hai
idhar dil-e-muztarib ḳhafā hai udhar tabassum meñ bhī hayā hai
idhar ḳhamoshī ik iltijā hai udhar takallum bahak rahā hai
mirī nazar ko sunā rahā hai tumhārī be-tābiyoñ kā qissa
vo ek saaya ba-rang-e-sho.ala jo chilmanoñ se lapak rahā hai
havā se chilman sarak rahī hai nigāh merī ThiThak rahī hai
ki ab parā.ī samajh ke is ko tumhārā jalva jhijak rahā hai
tumhārī uljhan samajh rahā huuñ maiñ apne dil se ulajh rahā huuñ
ki rāste band ho chuke haiñ to phir ye kyoñ raah tak rahā hai
tum is taraf se guzar chukī ho magar galī gungunā rahī hai
tumhārī pāzeb kā vo naġhma fazā meñ ab tak khanak rahā hai
mai-e-mohabbat pilāne vaalī piyāla is kā chhalak na jaa.e
abhī to utrī nahīñ gale se abhī se 'ehsāñ' bahak rahā hai
bas ek kashakash ka silsila hai azal se jo aaj tak raha hai
falak ki munkir zamin rahi hai zamin ka munkir falak raha hai
hai apne bazu pe naz jin ko wo zor bazu ka aazma len
wo saz ki samt kya baDhega jo hath shamshir tak raha hai
kahin na sailab-e-karb ban kar ubal paDe naghma zindagi ka
haTa le ab apna hath mutrib ki saz ka dil dhaDak raha hai
tumhaari baKHiya-gari musallam magar kahan tak rafu karoge
mere gareban ka haal ye hai jagah jagah se masak raha hai
lagegi Thokar jo raste mein to ab na shayad sanbhal sakenge
KHayal ek un ka ham-safar tha so wo bhi daman jhaTak raha hai
riwayaton ki kami nahin hai hidayaton ki kami nahin hai
qadam qadam pe khaDe hain rahbar magar zamana bhaTak raha hai
mizaj teshon ka muzmahil hai uThao saz-e-shikasta 'ehsan'
sunao mazi ke kuchh tarane ki haal ka dil dhaDak raha hai
junun ka mausam jo aa raha hai to aql ka dil dhaDak raha hai
idhar bhi daman pe hain KHarashen udhar bhi aanchal masak raha hai
idhar dil-e-muztarib KHafa hai udhar tabassum mein bhi haya hai
idhar KHamoshi ek iltija hai udhar takallum bahak raha hai
meri nazar ko suna raha hai tumhaari be-tabiyon ka qissa
wo ek saya ba-rang-e-shoala jo chilmanon se lapak raha hai
hawa se chilman sarak rahi hai nigah meri ThiThak rahi hai
ki ab parai samajh ke is ko tumhaara jalwa jhijak raha hai
tumhaari uljhan samajh raha hun main apne dil se ulajh raha hun
ki raste band ho chuke hain to phir ye kyon rah tak raha hai
tum is taraf se guzar chuki ho magar gali gunguna rahi hai
tumhaari pazeb ka wo naghma faza mein ab tak khanak raha hai
mai-e-mohabbat pilane wali piyala is ka chhalak na jae
abhi to utri nahin gale se abhi se 'ehsan' bahak raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.