dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise
dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise
Karamat Ali Shaheedi
MORE BYKaramat Ali Shaheedi
dar-parda sitam ham pe vo kar jaate haiñ kaise
gar kiije gilā saaf mukar jaate haiñ kaise
aane meñ to sau tarah kī sohbat thī shab-e-vasl
dekheñge par ab uTh ke sahar jaate haiñ kaise
ranjish kā mirī paas nahīñ aap ko mutlaq
barham tujhe ham dekh ke Dar jaate haiñ kaise
ġhusse meñ nayā rang nikāle haiñ parī-rū
juuñ juuñ ye bigaḌte haiñ sañvar jaate haiñ kaise
us sāhib-e-ismat ko yahī soch hai har sub.h
be-vaj.h mire baal bikhar jaate haiñ kaise
ayyām musībat ke to kaaTe nahīñ kaTte
din aish ke ghaḌiyoñ meñ guzar jaate haiñ kaise
vo vaqt to aane de batā deñge 'shahīdī'
bin aa.e kisī shaḳhs pe mar jaate haiñ kaise
dar-parda sitam hum pe wo kar jate hain kaise
gar kije gila saf mukar jate hain kaise
aane mein to sau tarah ki sohbat thi shab-e-wasl
dekhenge par ab uTh ke sahar jate hain kaise
ranjish ka meri pas nahin aap ko mutlaq
barham tujhe hum dekh ke Dar jate hain kaise
ghusse mein naya rang nikale hain pari-ru
jun jun ye bigaDte hain sanwar jate hain kaise
us sahib-e-ismat ko yahi soch hai har subh
be-wajh mere baal bikhar jate hain kaise
ayyam musibat ke to kaTe nahin kaTte
din aish ke ghaDiyon mein guzar jate hain kaise
wo waqt to aane de bata denge 'shahidi'
bin aae kisi shaKHs pe mar jate hain kaise
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 214)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.