dekhna jin suraton ka shakl thi aaram ki
dekhnā jin sūratoñ kā shakl thī ārām kī
un se haiñ masdūd rāheñ nāma-o-paiġhām kī
ruḳhsat ai ahl-e-vatan ab ham haiñ aur āvārgī
haq rakhe buniyād qaa.em gardish-e-ayyām kī
yaad ne un tang kūchoñ kī fazā sahrā kī dekh
har qadam par jaan maarī hai dil-e-nākām kī
gardish-e-chashm-e-butāñ ki bas-ki sāġhar-nosh hai
gardish-e-gardūñ ko ham kahte the gardish jaam kī
jab se khīñchā 'lutf' ranj-e-furqat-e-yār-o-dayār
ab huī mā'lūm mehnat gardish-e-ayyām kī
dekhna jin suraton ka shakl thi aaram ki
un se hain masdud rahen nama-o-paigham ki
ruKHsat ai ahl-e-watan ab hum hain aur aawargi
haq rakhe buniyaad qaem gardish-e-ayyam ki
yaad ne un tang kuchon ki faza sahra ki dekh
har qadam par jaan mari hai dil-e-nakaam ki
gardish-e-chashm-e-butan ki bas-ki saghar-nosh hai
gardish-e-gardun ko hum kahte the gardish jam ki
jab se khincha 'lutf' ranj-e-furqat-e-yar-o-dayar
ab hui ma'lum mehnat gardish-e-ayyam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.