duaon ke diye jab jal rahe the
duāoñ ke diye jab jal rahe the
mire ġham āñsuoñ meñ Dhal rahe the
kisī nekī kā saaya thā saroñ par
jo lamhe āfatoñ ke Tal rahe the
huā ehsās ye aadhī sadī ba.ad
yahāñ par sirf raste chal rahe the
vatan kī azmatoñ ko Dasne vaale
vatan kī āstīñ meñ pal rahe the
bahut nazdīk thī manzil hamārī
magar sab rāste daldal rahe the
nahīñ badle abhī munsif yahāñ ke
vahī haiñ faisle jo kal rahe the
jahāñ faizān-e-ābādī bahut hai
vahāñ par bhī ghane jañgal rahe the
duaon ke diye jab jal rahe the
mere gham aansuon mein Dhal rahe the
kisi neki ka saya tha saron par
jo lamhe aafaton ke Tal rahe the
hua ehsas ye aadhi sadi baad
yahan par sirf raste chal rahe the
watan ki azmaton ko Dasne wale
watan ki aastin mein pal rahe the
bahut nazdik thi manzil hamari
magar sab raste daldal rahe the
nahin badle abhi munsif yahan ke
wahi hain faisle jo kal rahe the
jahan faizan-e-abaadi bahut hai
wahan par bhi ghane jangal rahe the
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 12.10.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.