faKHta shaKH se uDte hue ghabrai thi
fāḳhta shāḳh se uḌte hue ghabrā.ī thī
jab parindoñ ke bilakne kī sadā aa.ī thī
aable merī zabāñ par haiñ to hairat kaisī
maiñ ne ik baar tirī jhūTī qasam khaa.ī thī
kab ye sochā thā barābar se guzar jā.egā
merī jis shaḳhs se barsoñ kī shanāsā.ī thī
ab vo kahtā hai ki zanjīr banī mere liye
us ke pairoñ meñ jo paa.el kabhī pahnā.ī thī
vaqt badle to har ik rishta badaltā hai 'hasan'
dil meñ dīvār kahāñ pahle mire bhaa.ī thī
faKHta shaKH se uDte hue ghabrai thi
jab parindon ke bilakne ki sada aai thi
aable meri zaban par hain to hairat kaisi
main ne ek bar teri jhuTi qasam khai thi
kab ye socha tha barabar se guzar jaega
meri jis shaKHs se barson ki shanasai thi
ab wo kahta hai ki zanjir bani mere liye
us ke pairon mein jo pael kabhi pahnai thi
waqt badle to har ek rishta badalta hai 'hasan'
dil mein diwar kahan pahle mere bhai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.