honTon ke sahifon pe hai aawaz ka chehra
hoñToñ ke sahīfoñ pe hai āvāz kā chehra
saayā sā nazar aatā hai har saaz kā chehra
āñkhoñ kī guphāoñ meñ taḌaptī hai ḳhamoshī
ḳhvāboñ kī dhanak hai mire hamrāz kā chehra
maiñ vaqt ke kohrām meñ kho jā.ūñ to kyā ġham
DhūñDegā zamāna mirī āvāz kā chehra
sūraj ke badan se nikal aa.e haiñ sitāre
anjām meñ bedār hai āġhāz kā chehra
palkeñ haiñ ki sargoshī meñ ḳhushbū kā safar hai
āñkhoñ kī ḳhamoshī hai ki āvāz kā chehra
honTon ke sahifon pe hai aawaz ka chehra
saya sa nazar aata hai har saz ka chehra
aankhon ki guphaon mein taDapti hai KHamoshi
KHwabon ki dhanak hai mere hamraaz ka chehra
main waqt ke kohram mein kho jaun to kya gham
DhunDega zamana meri aawaz ka chehra
suraj ke badan se nikal aae hain sitare
anjam mein bedar hai aaghaz ka chehra
palken hain ki sargoshi mein KHushbu ka safar hai
aankhon ki KHamoshi hai ki aawaz ka chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.