ibtida mujh mein intiha mujh mein
ibtidā mujh meñ intihā mujh meñ
ik mukammal hai vāqi.a mujh meñ
bhuul baiThā maiñ paikar-e-ḳhākī
jab se rahtā hai ik ḳhudā mujh meñ
maiñ ne miTTī se ḳhud ko bāñdh liyā
jab bharī vaqt ne havā mujh meñ
mere chāroñ taraf hai sannāTā
aisī gūñjī hai ik sadā mujh meñ
maiñ ne ashkoñ pe band kyā bāñdhā
ek sailāb aa gayā mujh meñ
merī tanhā.iyoñ meñ aane lagā
DhūñD kar rāsta nayā mujh meñ
maiñ ne us kī kabhī nahīñ maanī
jo sadā boltā rahā mujh meñ
Thahr jaatā hai har parinda yahāñ
ek jañgal hai yuuñ basā mujh meñ
tū bhī sulgegā is meñ saarī hayāt
soch kar aag ye lagā mujh meñ
us kā ham-zād saath rakkhā 'sa.īd'
jab koī shaḳhs bhī marā mujh meñ
ibtida mujh mein intiha mujh mein
ek mukammal hai waqia mujh mein
bhul baiTha main paikar-e-KHaki
jab se rahta hai ek KHuda mujh mein
main ne miTTi se KHud ko bandh liya
jab bhari waqt ne hawa mujh mein
mere chaaron taraf hai sannaTa
aisi gunji hai ek sada mujh mein
main ne ashkon pe band kya bandha
ek sailab aa gaya mujh mein
meri tanhaiyon mein aane laga
DhunD kar rasta naya mujh mein
main ne us ki kabhi nahin mani
jo sada bolta raha mujh mein
Thahr jata hai har parinda yahan
ek jangal hai yun basa mujh mein
tu bhi sulgega is mein sari hayat
soch kar aag ye laga mujh mein
us ka ham-zad sath rakkha 'said'
jab koi shaKHs bhi mara mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.