ek bahana hai tujhe yaad kiye jaane ka
ik bahāna hai tujhe yaad kiye jaane kā
kab salīqa hai mujhe varna ġhazal gaane kā
phir se bikhrī hai tirī zulf mire shānoñ par
vaqt aayā hai ga.e vaqt ko lauTāne kā
jis kī tābīr atā kar de mujhe vo zulfeñ
kaun kahtā hai ki vo ḳhvāb hai dīvāne kā
piine vaale to tujhe aañkh se pī lete haiñ
vo takalluf hī nahīñ karte haiñ paimāne kā
kis qadar haath yahāñ saaf nazar aate haiñ
faiz kitnā hai tire shahr pe dastāne kā
aap to sher meñ mafhūm kī sūrat hote
lafz hotā jo koī aap ko pahnāne kā
is kaḌī dhuup meñ ham varna to jal jā.eñge
vaqt 'bismil' hai yahī zulf ko lahrāne kā
ek bahana hai tujhe yaad kiye jaane ka
kab saliqa hai mujhe warna ghazal gane ka
phir se bikhri hai teri zulf mere shanon par
waqt aaya hai gae waqt ko lauTane ka
jis ki tabir ata kar de mujhe wo zulfen
kaun kahta hai ki wo KHwab hai diwane ka
pine wale to tujhe aankh se pi lete hain
wo takalluf hi nahin karte hain paimane ka
kis qadar hath yahan saf nazar aate hain
faiz kitna hai tere shahr pe dastane ka
aap to sher mein mafhum ki surat hote
lafz hota jo koi aap ko pahnane ka
is kaDi dhup mein hum warna to jal jaenge
waqt 'bismil' hai yahi zulf ko lahrane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.