jahan se ab guzarna chahte hain
jahāñ se ab guzarnā chāhte haiñ
ki ham jannat meñ rahnā chāhte haiñ
tavajjoh aap farmā.eñ agar to
kuchh ham bhī arz karnā chāhte haiñ
zarā teġh-e-nigah ko tez kiije
ki ham bhī kuchh taḌapnā chāhte haiñ
chhupā rakkhī jo hai vo jaam de de
vahī pī kar bahaknā chāhte haiñ
maza āshiq ko is meñ bhī hai miltā
jafā.eñ terī sahnā chāhte haiñ
hue haiñ tañg is duniyā se aise
bilā-tāḳhīr marnā chāhte haiñ
varaq 'ḳhushtar' kitāb-e-zindagī kā
koī taaza ulaTnā chāhte haiñ
jahan se ab guzarna chahte hain
ki hum jannat mein rahna chahte hain
tawajjoh aap farmaen agar to
kuchh hum bhi arz karna chahte hain
zara tegh-e-nigah ko tez kije
ki hum bhi kuchh taDapna chahte hain
chhupa rakkhi jo hai wo jam de de
wahi pi kar bahakna chahte hain
maza aashiq ko is mein bhi hai milta
jafaen teri sahna chahte hain
hue hain tang is duniya se aise
bila-taKHir marna chahte hain
waraq 'KHushtar' kitab-e-zindagi ka
koi taza ulaTna chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.