jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein
jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein
Musavvir Sabzwari
MORE BYMusavvir Sabzwari
jo ḳhas-e-badan thā jalā bahut ka.ī nik.hatoñ kī talāsh meñ
maiñ tamām logoñ se mil chukā tirī qurbatoñ kī talāsh meñ
tirī aañkh se mirī aañkh tak faqat ek manzar-e-ḳhāk hai
vahī shām-e-tīra-sarisht sī milī muddatoñ kī talāsh meñ
koī ḳhvāb sar se pare rahā ye safar sarāb-e-safar rahā
maiñ shanāḳht apnī gañvā chukā ga.ī sūratoñ kī talāsh meñ
ye jo jhāñktī hai nafas nafas koī mauj-e-ḳhūñ sī uThī huī
bane zindagī kī na qatl-gah kahīñ vahshatoñ kī talāsh meñ
mire zaḳhm ab tū siyegā kyā mire āñ.suoñ ko piyegā kyā
tire zā.iqe hī badal ga.e na.ī lazzatoñ kī talāsh meñ
jo KHas-e-badan tha jala bahut kai nikhaton ki talash mein
main tamam logon se mil chuka teri qurbaton ki talash mein
teri aankh se meri aankh tak faqat ek manzar-e-KHak hai
wahi sham-e-tira-sarisht si mili muddaton ki talash mein
koi KHwab sar se pare raha ye safar sarab-e-safar raha
main shanaKHt apni ganwa chuka gai suraton ki talash mein
ye jo jhankti hai nafas nafas koi mauj-e-KHun si uThi hui
bane zindagi ki na qatl-gah kahin wahshaton ki talash mein
mere zaKHm ab tu siyega kya mere aansuon ko piyega kya
tere zaiqe hi badal gae nai lazzaton ki talash mein
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.