kabhi jo aankhon ke aa gaya aaftab aage
kabhī jo āñkhoñ ke aa gayā āftāb aage
tire tasavvur meñ ham ne kar lī kitāb aage
vo ba.ad-e-muddat milā to rone kī aarzū meñ
nikal ke āñkhoñ se gir paḌe chand ḳhvāb aage
dil-o-nazar meñ hī apne ḳheme lagā liye haiñ
hameñ ḳhabar hai ki rāsta hai ḳharāb aage
nazar ke hairat-kade meñ kab kā khaḌā huā huuñ
ik aa.ine meñ khilā huā hai gulāb aage
guzarne vaalā thā rah-guzār-e-hayāt se maiñ
vo ek lamha ki aa ga.e phir janāb aage
'hasan' jo maazī kā saf.ha ulTā to aa ga.e haiñ
khajūr ke peḌ Tiile aur māhtāb aage
kabhi jo aankhon ke aa gaya aaftab aage
tere tasawwur mein hum ne kar li kitab aage
wo baad-e-muddat mila to rone ki aarzu mein
nikal ke aankhon se gir paDe chand KHwab aage
dil-o-nazar mein hi apne KHeme laga liye hain
hamein KHabar hai ki rasta hai KHarab aage
nazar ke hairat-kade mein kab ka khaDa hua hun
ek aaine mein khila hua hai gulab aage
guzarne wala tha rah-guzar-e-hayat se main
wo ek lamha ki aa gae phir janab aage
'hasan' jo mazi ka safha ulTa to aa gae hain
khajur ke peD Tile aur mahtab aage
- Book : Ham Ne Bhi Mohabbat Ki Hai (Pg. 17)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastalique Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.