kabhi main chup kabhi harf-e-bayan mein rahta hun
kabhī maiñ chup kabhī harf-e-bayāñ meñ rahtā huuñ
maiñ apne shahr kī har ik zabāñ meñ rahtā huuñ
badal liyā hai zarā ḳhvāb ke ilāqe ko
makāñ ko chhoḌ ke ab lā-makāñ meñ rahtā huuñ
maiñ ek harf-e-tasallī huuñ narm-dil ke liye
hamesha se nigah-e-mehr-bāñ meñ rahtā huuñ
mujhe zamīn pe har samt dar-ba-dar kar ke
batā rahā hai ki maiñ āsmāñ meñ rahtā huuñ
chalo ye maan liyā ik mahak huuñ maazī kī
magar ye hai ki maiñ asr-e-ravāñ meñ rahtā huuñ
na.ī kahānī mujhe kyuuñ gavārā karne lagī
purānā harf huuñ aur dāstāñ meñ rahtā huuñ
subuk ḳhayāl nahīñ huuñ ki tere haath aa.uuñ
bahut pare kahīñ ḳhvāb-e-girāñ meñ rahtā huuñ
kabhi main chup kabhi harf-e-bayan mein rahta hun
main apne shahr ki har ek zaban mein rahta hun
badal liya hai zara KHwab ke ilaqe ko
makan ko chhoD ke ab la-makan mein rahta hun
main ek harf-e-tasalli hun narm-dil ke liye
hamesha se nigah-e-mehr-ban mein rahta hun
mujhe zamin pe har samt dar-ba-dar kar ke
bata raha hai ki main aasman mein rahta hun
chalo ye man liya ek mahak hun mazi ki
magar ye hai ki main asr-e-rawan mein rahta hun
nai kahani mujhe kyun gawara karne lagi
purana harf hun aur dastan mein rahta hun
subuk KHayal nahin hun ki tere hath aaun
bahut pare kahin KHwab-e-giran mein rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.