kahin aankhen kahin bazu kahin se sar nikal aae
kahīñ āñkheñ kahīñ baazū kahīñ se sar nikal aa.e
añdherā phailte hī har taraf se Dar nikal aa.e
hue haiñ khokhle ham log hijrat meñ so Darte haiñ
ḳhalā ye ruuh kā aisā na ho bāhar nikal aa.e
ye lagtā hai ki pattoñ pe rakhī thiiñ muntazir āñkheñ
mire aate hī kitne phuul shāḳhoñ par nikal aa.e
na jaane khol de kab koī lamha yaad kī gaThrī
kisī kone se maazī kā hasīñ manzar nikal aa.e
mire hoñToñ pe bikhrā ye tabassum Dhaal hai merī
ki jaane kab udāsī kā kahīñ ḳhanjar nikal aa.e
gire haiñ jitne aañsū dāman-e-sahrā meñ sadiyoñ se
sulagtī ret bhī andar se shāyad tar nikal aa.e
kahin aankhen kahin bazu kahin se sar nikal aae
andhera phailte hi har taraf se Dar nikal aae
hue hain khokhle hum log hijrat mein so Darte hain
KHala ye ruh ka aisa na ho bahar nikal aae
ye lagta hai ki patton pe rakhi thin muntazir aankhen
mere aate hi kitne phul shaKHon par nikal aae
na jaane khol de kab koi lamha yaad ki gaThri
kisi kone se mazi ka hasin manzar nikal aae
mere honTon pe bikhra ye tabassum Dhaal hai meri
ki jaane kab udasi ka kahin KHanjar nikal aae
gire hain jitne aansu daman-e-sahra mein sadiyon se
sulagti ret bhi andar se shayad tar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.