kisi aur ko main tere siwa nahin chahta
kisī aur ko maiñ tire sivā nahīñ chāhtā
so kisī se terā muvāzana nahīñ chāhtā
koī kund zehn qabīl se hai mire ḳhilāf
ki vo raushnī kā hī irtiqā nahīñ chāhtā
tū hasīn hai so muġhālate meñ na ḳharch ho
mire dost dil se tujhe zarā nahīñ chāhtā
tirā vasl chāhe ragoñ meñ zahr utaar de
tire hijr kā kabhī azhdahā nahīñ chāhtā
abhī dil ko maazī kī sohbatoñ kā malāl hai
na.e shahr meñ koī āshnā nahīñ chāhtā
ye parind peḌ charāġh to mire saath haiñ
mirā ḳhāndān mirī razā nahīñ chāhtā
kisi aur ko main tere siwa nahin chahta
so kisi se tera muwazana nahin chahta
koi kund zehn qabil se hai mere KHilaf
ki wo raushni ka hi irtiqa nahin chahta
tu hasin hai so mughaalate mein na KHarch ho
mere dost dil se tujhe zara nahin chahta
tera wasl chahe ragon mein zahr utar de
tere hijr ka kabhi azhdaha nahin chahta
abhi dil ko mazi ki sohbaton ka malal hai
nae shahr mein koi aashna nahin chahta
ye parind peD charagh to mere sath hain
mera KHandan meri raza nahin chahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.