raste KHauf-zada karte rahe
rāste ḳhauf-zada karte rahe
ham-safar meñ the duā karte rahe
muskurāne kī sazā miltī rahī
muskurāne kī ḳhatā karte rahe
umr bhar qarz adā ho na sakā
umr bhar qarz adā karte rahe
ḳhvāb āñkhoñ se judā ho na sake
ḳhvāb āñkhoñ se judā karte rahe
aap ne jo bhī kahā ham ne sunā
aap ne jo bhī kahā karte rahe
vaqt bhī ham se gilā kartā rahā
vaqt se ham bhī gilā karte rahe
aur vo pās-e-vafā kar na sake
aur ham pās-e-vafā karte rahe
raste KHauf-zada karte rahe
ham-safar mein the dua karte rahe
muskurane ki saza milti rahi
muskurane ki KHata karte rahe
umr bhar qarz ada ho na saka
umr bhar qarz ada karte rahe
KHwab aankhon se juda ho na sake
KHwab aankhon se juda karte rahe
aap ne jo bhi kaha hum ne suna
aap ne jo bhi kaha karte rahe
waqt bhi hum se gila karta raha
waqt se hum bhi gila karte rahe
aur wo pas-e-wafa kar na sake
aur hum pas-e-wafa karte rahe
- Book : karb-e-anaa (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.