Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahron ke sare jangal gunjaan ho gae hain

Tanveer Anjum

shahron ke sare jangal gunjaan ho gae hain

Tanveer Anjum

MORE BYTanveer Anjum

    shahroñ ke saare jangal gunjān ho ga.e haiñ

    phir log mere andar sunsān ho ga.e haiñ

    in dūriyoñ mushkil āñkhoñ meñ bujh ga.ī hai

    ham āñsuoñ meñ bah kar āsān ho ga.e haiñ

    aisī ḳhamoshiyāñ haiñ sab rāste judā haiñ

    alfāz meñ jazīre vīrān ho ga.e haiñ

    tum barf meñ na jaane kab se jame hue ho

    ham jaane kis havā tūfān ho ga.e haiñ

    jismoñ sardiyoñ meñ phir jal ga.e haiñ rishte

    sab ek dūsre ke mehmān ho ga.e haiñ

    shahron ke sare jangal gunjaan ho gae hain

    phir log mere andar sunsan ho gae hain

    in duriyon ki mushkil aankhon mein bujh gai hai

    hum aansuon mein bah kar aasan ho gae hain

    aisi KHamoshiyan hain sab raste juda hain

    alfaz mein jazire viran ho gae hain

    tum barf mein na jaane kab se jame hue ho

    hum jaane kis hawa ka tufan ho gae hain

    jismon ki sardiyon mein phir jal gae hain rishte

    sab ek dusre ke mehman ho gae hain

    Source :
    • Book : Andekhi Lahren(rekhta website) (Pg. 175)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now