shikast man ke tasKHir kar liya hai mujhe
shikast maan ke tasḳhīr kar liyā hai mujhe
ġhazāl-e-dasht ne zanjīr kar liyā hai mujhe
maiñ muntashir thā kisī aks-e-rā.egāñ kī tarah
nigāh-e-shauq ne tasvīr kar liyā hai mujhe
bikhar gayā thā sar-e-shahr-e-āshiyāna maiñ
kisī ke rabt ne ta.amīr kar liyā hai mujhe
nikal ke jā.ūñ kahāñ maiñ hisār-e-gardish se
safar ne paañv meñ zanjīr kar liyā hai mujhe
sukūt-e-ġham se badan ḳhaak ho chalā thā magar
tilism-e-lams ne iksīr kar liyā hai mujhe
mire suḳhan meñ samā kar kitāb-rū ne mirī
ḳhud apne husn kī tafsīr kar liyā hai mujhe
maiñ ik ḳhayāl sar-e-rahguzār-e-shab thā 'sa.īd'
kisī ke ḳhvāb ne ta.abīr kar liyā hai mujhe
shikast man ke tasKHir kar liya hai mujhe
ghazal-e-dasht ne zanjir kar liya hai mujhe
main muntashir tha kisi aks-e-raegan ki tarah
nigah-e-shauq ne taswir kar liya hai mujhe
bikhar gaya tha sar-e-shahr-e-ashiyana main
kisi ke rabt ne tamir kar liya hai mujhe
nikal ke jaun kahan main hisar-e-gardish se
safar ne panw mein zanjir kar liya hai mujhe
sukut-e-gham se badan KHak ho chala tha magar
tilism-e-lams ne iksir kar liya hai mujhe
mere suKHan mein sama kar kitab-ru ne meri
KHud apne husn ki tafsir kar liya hai mujhe
main ek KHayal sar-e-rahguzar-e-shab tha 'said'
kisi ke KHwab ne tabir kar liya hai mujhe
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 28.06.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.