tere mahal mein kaise basar ho isko to girai bahut hai
tere mahal mein kaise basar ho isko to girai bahut hai
Sahir Hoshiyarpuri
MORE BYSahir Hoshiyarpuri
tere mahal meñ kaise basar ho is kī to gīrā.ī bahut hai
maiñ ghar kī añgnā.ī meñ ḳhush huuñ mere liye añgnā.ī bahut hai
apnī apnī zaat meñ gum haiñ ahl-e-dil bhī ahl-e-nazar bhī
mahfil meñ dil kyuuñ kar bahle mahfil meñ tanhā.ī bahut hai
ġharq-e-dariyā honā yaaro 'ġhālib' ne kyuuñ chāhā āḳhir
aisī marg-e-lā-vāris meñ socho to rusvā.ī bahut hai
dushman se ghabrānā abas hai ġhair se Darnā bhī lā-hāsil
kul kā ghātak ghar kā bhedī ek vibhīshan bhaa.ī bahut hai
barsoñ meñ ik jogī lauTā jañgal meñ phir jot jagā.ī
kahne lagā ai bhole shañkar shahroñ meñ mahñgā.ī bahut hai
apnī dhartī hī ke dukh-sukh ham in sheroñ meñ kahte haiñ
ham ko himāla se kyā matlab us kī to ūñchā.ī bahut hai
pursish-e-ġham ko ḳhud nahīñ aa.e un kā magar paiġhām to aayā
hijr kī rut meñ jān-e-hazīñ ko duur kī ye shahnā.ī bahut hai
dil kī kitābeñ paḌh nahīñ saktā lekin chehre paḌh letā huuñ
Dhaltī umr kī dhuup meñ 'sāhir' itnī bhī bīnā.ī bahut hai
tere mahal mein kaise basar ho is ki to girai bahut hai
main ghar ki angnai mein KHush hun mere liye angnai bahut hai
apni apni zat mein gum hain ahl-e-dil bhi ahl-e-nazar bhi
mahfil mein dil kyun kar bahle mahfil mein tanhai bahut hai
gharq-e-dariya hona yaro 'ghaalib' ne kyun chaha aaKHir
aisi marg-e-la-waris mein socho to ruswai bahut hai
dushman se ghabrana abas hai ghair se Darna bhi la-hasil
kul ka ghatak ghar ka bhedi ek wibhishan bhai bahut hai
barson mein ek jogi lauTa jangal mein phir jot jagai
kahne laga ai bhole shankar shahron mein mahngai bahut hai
apni dharti hi ke dukh-sukh hum in sheron mein kahte hain
hum ko himala se kya matlab us ki to unchai bahut hai
pursish-e-gham ko KHud nahin aae un ka magar paigham to aaya
hijr ki rut mein jaan-e-hazin ko dur ki ye shahnai bahut hai
dil ki kitaben paDh nahin sakta lekin chehre paDh leta hun
Dhalti umr ki dhup mein 'sahir' itni bhi binai bahut hai
- Book : Sehr-e-Khayal (Pg. 33)
- Author : Sahir Hoshiarpuri
- Publication : Modern Publishing House (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.