Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri KHushbu ka tarasha hai ye paikar kis ne

Afsar Azri

teri KHushbu ka tarasha hai ye paikar kis ne

Afsar Azri

terī ḳhushbū tarāshā hai ye paikar kis ne

kar diyā hai mirā māhaul mo'attar kis ne

āsmāñ himmat-e-parvāz se kuchh duur nahīñ

is tamannā ke magar kaaT liye par kis ne

nā-samajh qatra-e-nāchīz vaq'at ko samajh

samundar hai banāyā hai samundar kis ne

kis pāzeb sañgīt hai hastī merī

paañv se bāñdh liyā merā muqaddar kis ne

partav-e-husn hai nāhīd guzar-gāh-e-ḳhayāl

sar pe rakkhī hai chhalaktī huī gāgar kis ne

ḳhushnumā dā.ere bante chale jaate haiñ

dil ke tālāb meñ pheñkā hai ye kankar kis ne

merā dost sahī yaar magar ye to batā

vaqt ye dhoka diyā hai mujhe aksar kis ne

daf.atan kis ne jagā mirī soī qismat

merā muñh chuum liyā ḳhvāb meñ 'afsar' kis ne

teri KHushbu ka tarasha hai ye paikar kis ne

kar diya hai mera mahaul mo'attar kis ne

aasman himmat-e-parwaz se kuchh dur nahin

is tamanna ke magar kaT liye par kis ne

na-samajh qatra-e-nachiz ki waq'at ko samajh

tu samundar hai banaya hai samundar kis ne

kis ki pazeb ka sangit hai hasti meri

panw se bandh liya mera muqaddar kis ne

partaw-e-husn hai nahid guzar-gah-e-KHayal

sar pe rakkhi hai chhalakti hui gagar kis ne

KHushnuma daere bante hi chale jate hain

dil ke talab mein phenka hai ye kankar kis ne

tu mera dost sahi yar magar ye to bata

waqt ye dhoka diya hai mujhe aksar kis ne

dafatan kis ne jaga di meri soi qismat

mera munh chum liya KHwab mein 'afsar' kis ne

Source :
  • Book : URDU-1983 (Pg. 126)
  • Author : NAND KISHORE VIKRAM
  • Publication : Publishers & Advertisers J-6,Krishan Nagar (1983)
  • Edition : 1983
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now