un ke wadon ka haal kya kahiye
un ke va.adoñ kā haal kyā kahiye
hafta-o-māh-o-sāl kyā kahiye
ārzū-e-visāl kyā kahiye
zehn kā intiqāl kyā kahiye
husn ko maiñ ḳhudā samajhtā huuñ
haa.e merā ḳhayāl kyā kahiye
vahī sub.h-o-masā vahī shab-o-roz
zindagī hai vabāl kyā kahiye
un se koī javāb ban na paḌā
merā tarz-e-savāl kyā kahiye
siskiyāñ ik marīz-e-ġham kī haa.e
aap kī dekh-bhāl kyā kahiye
aap ke lutf meñ sitam pinhāñ
ho ga.e ham nihāl kyā kahiye
aage bas aur kyā hai nām-e-ḳhudā
aap haiñ be-misāl kyā kahiye
ārzūoñ kā hasratoñ kā lahū
zindagī kā ma.aal kyā kahiye
un ke wadon ka haal kya kahiye
hafta-o-mah-o-sal kya kahiye
aarzu-e-visal kya kahiye
zehn ka intiqal kya kahiye
husn ko main KHuda samajhta hun
hae mera KHayal kya kahiye
wahi subh-o-masa wahi shab-o-roz
zindagi hai wabaal kya kahiye
un se koi jawab ban na paDa
mera tarz-e-sawal kya kahiye
siskiyan ek mariz-e-gham ki hae
aap ki dekh-bhaal kya kahiye
aap ke lutf mein sitam pinhan
ho gae hum nihaal kya kahiye
aage bas aur kya hai nam-e-KHuda
aap hain be-misal kya kahiye
aarzuon ka hasraton ka lahu
zindagi ka maal kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.