Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Iftikhar Shafi's Photo'

Mohammad Iftikhar Shafi

1973 | Pakistan

Mohammad Iftikhar Shafi

Ghazal 7

Sher-o-Shayari 21

sunā hai aise bhī hote haiñ log duniyā meñ

ki jin se miliye to tanhā.ī ḳhatm hotī hai

suna hai aise bhi hote hain log duniya mein

ki jin se miliye to tanhai KHatm hoti hai

  • Share this

hijrat ghaḌī ham ne tire ḳhat ke alāva

bosīda kitāboñ ko bhī sāmān meñ rakkhā

hijrat ki ghaDi hum ne tere KHat ke alawa

bosida kitabon ko bhi saman mein rakkha

thā koī vahāñ jo hai yahāñ bhī hai vahāñ bhī

jo huuñ maiñ yahāñ huuñ maiñ vahāñ koī nahīñ thā

tha koi wahan jo hai yahan bhi hai wahan bhi

jo hun main yahan hun main wahan koi nahin tha

aao nikleñ shaam ThanDī saḌak par 'iftiḳhār'

zindagī se kuchh to apnā rābta rah jā.egā

aao niklen sham ki ThanDi saDak par 'iftiKHar'

zindagi se kuchh to apna rabta rah jaega

  • Share this

isī zindagī meñ palaT ke aanā hai ek din

so maiñ koī saañs idhar udhar nahīñ kar rahā

isi zindagi mein palaT ke aana hai ek din

so main koi sans idhar udhar nahin kar raha

  • Share this

BOOKS 4

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now