Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil kii nazar se nazro.n ke dil se

Sahir Ludhianvi

dil kii nazar se nazro.n ke dil se

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    Interesting Fact

    Film:  Anari Year: 1959 Singer: Lata Mangeshkar, Mukesh Kumar Music:  Shankar–Jaikishan Actor: Raj Kapoor, Nutan

    dil kii nazar se nazro.n ke dil se

    ye baat kyaa hai ye raaz kyaa hai ko.ii hame.n bataa de

    siine se uTh kar ho.nTo.n pe aayaa

    ye giit kaisaa ye raag kyaa hai ko.ii hame.n bataa de

    kyo.n be-KHabar yuu.n khi.nchii sii chalii jaa rahii mai.n

    ye kaun se bandhano.n me.n ba.ndhii jaa rahii mai.n

    kuchh kho rahaa hai kuchh mil rahaa hai

    ye baat kyaa hai ye raaz kyaa hai ko.ii hame.n bataa de

    dil kii nazar se

    ham kho chale chaa.nd hai yaa ko.ii jaaduugar hai

    yaa mad-bharii ye tumhaarii nazar kaa asar hai

    sab kuchh hamaaraa ab hai tumhaaraa

    ye baat kyaa hai ye raaz kyaa hai ko.ii hame.n bataa de

    dil kii nazar se

    aakaash me.n ho rahe hai.n ye kaise ishaare

    kyaa dekh kar aaj hai.n itne KHush chaa.nd taare

    kyo.n tum paraa.e dil me.n samaa.e

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now