mai.n dekhuu.n jis or sakhii rii
mai.n dekhuu.n jis or sakhii rii
saamne mere saa.nvariyaa
prem ne jogan mujh ko banaayaa
tan ko phuu.nkaa man ko jalaayaa
prem ke dukh me.n duub gayaa dil
jaise jal me.n gaagariyaa
ro ro kar har dukh sahnaa hai
dukh sah sah kar chup rahnaa hai
kaise bataa.uu.n kaise bichh.Dii
pii ke mukh se baa.nsuriyaa
duniyaa kahtii mujh ko diivaanii
ko.ii na samjhe prem kii baanii
saajan saajan raTte raTte
ab to ho ga.ii baavariyaa
mai.n dekhuu.n jis or sakhii rii
saamne mere saa.nvariyaa
prem ne jogan mujh ko banaayaa
tan ko phuu.nkaa man ko jalaayaa
prem ke dukh me.n duub gayaa dil
jaise jal me.n gaagariyaa
ro ro kar har dukh sahnaa hai
dukh sah sah kar chup rahnaa hai
kaise bataa.uu.n kaise bichh.Dii
pii ke mukh se baa.nsuriyaa
duniyaa kahtii mujh ko diivaanii
ko.ii na samjhe prem kii baanii
saajan saajan raTte raTte
ab to ho ga.ii baavariyaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.