mere ghar sarkaar aa.e kahiye kyaa KHaatir karuu.n
Interesting Fact
Pran Jaye Par Vachan Na Jaye (1974)
mere ghar sarkaar aa.e kahiye kyaa KHaatir karuu.n
mai.n ba.Dii uljhan me.n huu.n ki baat kyaa aaKHir karuu.n
aap hii se puuchhtii huu.n aap hii farmaa.iye
dil karuu.n mai.n pesh-e-KHidmat yaa ki jaa.n haazir karuu.n
ik tuu hai piyaa jis pe dil aa gayaa
terii ik nazar ne raajaa be-qaraar kar diyaa
apnii to nazar me.n tuu raajaa ko.ii chor hai
jis kaa ki saare zamaane me.n hii shor hai
aur kahuu.n kyaa tujh ko haa.e luuT liyaa re mujh ko
tuu ne aa.nkh milaa ke jiinaa dushvaar kar diyaa
ik tuu hai piyaa jis pe dil aa gayaa
dhiire dhiire ham tum kahaa.n se kahaa.n aa ga.e
dono.n ke dil ke iraade Takraa ga.e
phir se ye dil-vaalii nahii.n lauT ke aane vaalii
kahii.n aaj agar jo tuu ne inkaar kar diyaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.