Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

miraa pyaar vo hai ki mar kar bhii tum ko

S. H. Bihari

miraa pyaar vo hai ki mar kar bhii tum ko

S. H. Bihari

MORE BYS. H. Bihari

    Interesting Fact

    Yeh Raat Phir Na Ayegi (1966)

    miraa pyaar vo hai ki mar kar bhii tum ko

    judaa apnii baa.nho.n se hone na degaa

    milii mujh ko jannat to jannat ke badle

    KHudaa se mirii jaa.n tumhe.n maa.ng legaa

    zamaana to karvaT badaltaa rahegaa

    na.e zindagii ke taraane bane.nge

    miTegii na lekin mohabbat hamaarii

    miTaane ke sau sau bahaane bane.nge

    haqiiqat hamesha haqiiqat rahegii

    kabhii bhii na is kaa fasaana banegaa

    tumhe.n chhiin le merii baaho.n se ko.ii

    miraa pyaar yuu.n be-sahaaraa nahii.n hai

    tumhaaraa badan chaa.ndnii aa ke chhuu le

    mire dil ko ye bhii gavaara nahii.n hai

    ko.ii bhii agar tum se aa ke mile to

    tumhaarii qasam hai miraa dil jalegaa

    miraa pyaar vo hai ki mar kar bhii tum ko

    judaa apnii baa.nho.n se hone na degaa

    milii mujh ko jannat to jannat ke badle

    KHudaa se mirii jaa.n tumhe.n maa.ng legaa

    zamaana to karvaT badaltaa rahegaa

    na.e zindagii ke taraane bane.nge

    miTegii na lekin mohabbat hamaarii

    miTaane ke sau sau bahaane bane.nge

    haqiiqat hamesha haqiiqat rahegii

    kabhii bhii na is kaa fasaana banegaa

    tumhe.n chhiin le merii baaho.n se ko.ii

    miraa pyaar yuu.n be-sahaaraa nahii.n hai

    tumhaaraa badan chaa.ndnii aa ke chhuu le

    mire dil ko ye bhii gavaara nahii.n hai

    ko.ii bhii agar tum se aa ke mile to

    tumhaarii qasam hai miraa dil jalegaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now