nafrat se jinhe.n tum dekhte ho
Interesting Fact
Ek Bar Muskura Do (1972)
nafrat se jinhe.n tum dekhte ho
tum maarte ho jin ko Thokar
kyaa un pe guzartii hai dekho
ek baar kabhii ghaayal ho kar
zamaane kii aa.nkho.n ne dekhaa hai yaaro
sadaa apnii duniyaa me.n aisaa nazaaraa
kabhii un ko phuulo.n se puujaa hai sab ne
kabhii jin ko logo.n ne patthar se maaraa

pise na jahaa.n tak patthar pe meh.ndii
kisii bhii tarah rang laatii nahii.n hai
hazaaro.n jagah Thokare.n khaa na le jab tak
ko.ii zindagii muskuraatii nahii.n hai
binaa KHud mare kis ko jannat milii hai
binaa dukh sahe kis ne jiivan sa.nvaaraa

bha.nvar se jo ghabraa ke piichhe haTe hai.n
Dubo dii hai maujo.n ne un kii hii nayyaa
jo tuufaa.n se Takraa ke aage ba.Dhe.n hai.n
binaa ko.ii maa.njhii binaa hii khevayyaa
kabhii na kabhii to kahii.n na kahii.n par
hamesha hii un ko milaa hai kinaaraa

yahaa.n aadmii ko sabaq dostii kaa
sikhaate hu.e jo lahuu me.n nahaayaa
masiihaa banaa aur 'gaa.ndhii' banaa vo
hazaaro.n dilo.n me.n yahaa.n ghar banaayaa
unhii.n kii banii hai yahaa.n yaadgaare.n
unhii.n kaa jahaa.n me.n hai chamkaa sitaaraa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.