vo dekho jalaa ghar kisii kaa
Interesting Fact
Anpadh (1962)
vo dekho jalaa ghar kisii kaa
ye TuuTe hai.n kis ke sitaare
vo qismat ha.nsii aur aise ha.nsii
ki rone lage Gam ke maare
vo dekho jalaa
gayaa jaise jho.nkaa havaa kaa
hamaarii KHushii kaa zamaana
diye ham ko qismat ne aa.nsuu
jab aaya hame.n muskuraanaa
binaa ham-safar hai suunii Dagar
kidhar jaa.e.n ham be-sahaare
vo dekho jalaa
hai.n raahe.n kaThin duur manzil
ye chhaayaa hai kaisaa a.ndheraa
ki ab chaa.nd suuraj bhii mil kar
nahii.n kar sakegaa saveraa
ghaTaa chhaa.egii bahaar aa.egii
na aa.e.nge vo din hamaare
vo dekho jalaa
idhar ro rahii hai.n aa.nkhe.n
udhar aasmaa.n ro rahaa hai
mujhe kar ke barbaad zaalim
pashemaan ab ho rahaa hai
ye barkhaa kabhii to ruk jaa.egii
ruke.nge na aa.nsuu hamaare
vo dekho jalaa
vo dekho jalaa ghar kisii kaa
ye TuuTe hai.n kis ke sitaare
vo qismat ha.nsii aur aise ha.nsii
ki rone lage Gam ke maare
vo dekho jalaa
gayaa jaise jho.nkaa havaa kaa
hamaarii KHushii kaa zamaana
diye ham ko qismat ne aa.nsuu
jab aaya hame.n muskuraanaa
binaa ham-safar hai suunii Dagar
kidhar jaa.e.n ham be-sahaare
vo dekho jalaa
hai.n raahe.n kaThin duur manzil
ye chhaayaa hai kaisaa a.ndheraa
ki ab chaa.nd suuraj bhii mil kar
nahii.n kar sakegaa saveraa
ghaTaa chhaa.egii bahaar aa.egii
na aa.e.nge vo din hamaare
vo dekho jalaa
idhar ro rahii hai.n aa.nkhe.n
udhar aasmaa.n ro rahaa hai
mujhe kar ke barbaad zaalim
pashemaan ab ho rahaa hai
ye barkhaa kabhii to ruk jaa.egii
ruke.nge na aa.nsuu hamaare
vo dekho jalaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.