Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye raat ye chaa.ndnii phir kahaa.n

Sahir Ludhianvi

ye raat ye chaa.ndnii phir kahaa.n

Sahir Ludhianvi

MORE BYSahir Ludhianvi

    Interesting Fact

    फ़िल्म: जाल वर्ष: 1952 गुलूकार: हेमंत कुमार मूसीक़ार: एसडी बर्मन अदाकार: गीता बाली,देव आनन्द

    ye raat ye chaa.ndnii phir kahaa.n

    sun jaa dil kii daastaa.n

    pe.Do.n kii shaaKHo.n pe so.ii so.ii chaa.ndnii

    tere KHayaalo.n me.n kho.ii kho.ii chaa.ndnii

    aur tho.Dii der me.n thak ke lauT jaa.egii

    raat ye bahaar kii phir kabhii na aa.egii

    do ek pal aur hai ye samaa.n

    sun jaa dil kii daastaa.n

    lahro.n ke ho.nTo.n pe dhiimaa dhiimaa raag hai

    bhiigii havaa.o.n me.n ThanDii ThanDii aag hai

    is hasii.n aag me.n tuu bhii jal ke dekh le

    zindagii ke giit kii dhun badal ke dekh le

    khulne de ab dha.Dkano.n kii zabaa.n

    sun jaa dil kii daastaa.n

    jaatii bahaare.n hai.n uThtii javaaniyaa.n

    taaro.n kii chhaa.o.n me.n kah le kahaaniyaa.n

    ik baar chal diye gar tujhe pukaar ke

    lauT kar na aa.e.nge qaafile bahaar ke

    aa jaa abhii zindagii hai javaa.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now