aaj khilī man kī phulvārī sundar pyārī pyārī
rāj-bhavan ab rang-mahal hai
yā brindāban kā jangal hai
jab maiñ raanī banī rādhikā aur raaja hai shyām bihārī
aaj khilī man kī phulvārī
rul-mil sakhiyāñ nācheñ gaa.eñ
sukh-sangat meñ dhuum machā.eñ
phulvārī se chun-chun laa.eñ phuul se sej sajā.eñ saarī
aaj khilī man kī phulvārī
jhan man jhan man jhan jhankāreñ
tum jiito baazī ham hāreñ
prem kī baazī sab se nirālī kis ne jiitī kis ne haarī
aaj khilī man kī phulvārī
aaj khili man ki phulwari sundar pyari pyari
raj-bhawan ab rang-mahal hai
ya brindaban ka jangal hai
jab main rani bani radhika aur raja hai shyam bihaari
aaj khili man ki phulwari
rul-mil sakhiyan nachen gaen
sukh-sangat mein dhum machaen
phulwari se chun-chun laen phul se sej sajaen sari
aaj khili man ki phulwari
jhan man jhan man jhan jhankaren
tum jito bazi hum haaren
prem ki bazi sab se nirali kis ne jiti kis ne haari
aaj khili man ki phulwari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.