ai umr zara aahista chal
ai umr zarā āhista chal āhista chal ai umr-e-ravāñ
pur-kaif chaman phir mast huā mausam bhī hasīñ aur dil bhī javāñ
vo lutf kahāñ hai manzil meñ jo lutf safar meñ hai nādāñ
jab manzil par aa jā.egī phir pachhtā.egī ai pāgal
ai umr zarā āhista chal
āḳhir itnī jaldī kyā hai kuchh dekh to dilkash nazzāre
mīThe chashme ThanDe dariyā ūñche Tiile bahte dhāre
shabnam meñ kausar kī maujeñ zarroñ meñ jannat ke taare
komal kirnoñ kī gardan meñ ye bāñheñ Daale jamunā jal
ai umr zarā āhista chal
jī-bhar ke zarā maiñ dekh to luuñ is album kī sab tasvīreñ
parvat par jā ke paḌh to luuñ naqqāsh-e-azal kī tahrīreñ
jhīloñ se jā ke sun to luuñ rangīñ fitrat kī tafsīreñ
maiñ ghuum to luuñ bastī bastī vaadī vaadī jangal jangal
ai umr zarā āhista chal
sahrā meñ tarāre bhartā hai ik bholā-bhālā mast hiran
dariyā kī taraf bal khātī hai ik sāras kī lambī gardan
jote hue khet meñ sotī hai ik bīr-bahūTī kī dulhan
pur-kaif havā meñ uḌtā hai ik dahshat kā maarā hariyal
ai umr zarā āhista chal
naġhmoñ se gūñjī jaatī hai ye duniyā kī mahfil saarī
peḌoñ par mastī kā aalam shāmā kī lai se hai taarī
sargam ke sātoñ mīThe sur tuutī ke lab par haiñ jaarī
mad.hosh papīhā gaatā hai sahrā meñ dard-angez ġhazal
ai umr zarā āhista chal
shāyad kausar kī maujeñ bhī aise naġhme bikhrā na sakeñ
mumkin hai ġhilmāñ ke gaane itnā tujh ko bahlā na sakeñ
jannat kī hūreñ bhī shāyad is rangīñ lai meñ gā na sakeñ
jis pancham sur meñ gaatī hai ye barkhā kī mīThī koyal
ai umr zarā āhista chal
do phuul kañval ke paanī meñ un par bhauñrā hai yuuñ raqsāñ
jis tarah kabūtar hāthoñ se chhoḌe koī alhaḌ nādāñ
shāyad in donoñ phūloñ meñ hai ek salīm ik nuur jahāñ
mīnā-bāzār banāte haiñ paanī meñ do mad.hosh kañval
ai umr zarā āhista chal
vo chāñd kī siitā bhāgtī hai Dar ke maare sū-e-gulshan
vo us kā pīchhā kartā hai tezī se bādal kā rāvan
vo us kī jānib baḌhtā hai ye apnā bachātī hai dāman
ākāsh pe lanka kā manzar dikhlāte haiñ chāñd aur bādal
ai umr zarā āhista chal
sarhad par 'salām' is manzil kī naddī naale kā naam nahīñ
chatiyal maidāñ phir dhuup kaḌī aur paanī kā ik jaam nahīñ
pal bhar ke liye pāgal ruk jā go ruknā terā kaam nahīñ
maiñ bhar luuñ mīThe chashmoñ se ye apnī miTTī kī chhāgal
ai umr zarā āhista chal
ai umr zara aahista chal aahista chal ai umr-e-rawan
pur-kaif chaman phir mast hua mausam bhi hasin aur dil bhi jawan
wo lutf kahan hai manzil mein jo lutf safar mein hai nadan
jab manzil par aa jaegi phir pachhtaegi ai pagal
ai umr zara aahista chal
aaKHir itni jaldi kya hai kuchh dekh to dilkash nazzare
miThe chashme ThanDe dariya unche Tile bahte dhaare
shabnam mein kausar ki maujen zarron mein jannat ke tare
komal kirnon ki gardan mein ye banhen Dale jamuna jal
ai umr zara aahista chal
ji-bhar ke zara main dekh to lun is album ki sab taswiren
parwat par ja ke paDh to lun naqqash-e-azal ki tahriren
jhilon se ja ke sun to lun rangin fitrat ki tafsiren
main ghum to lun basti basti wadi wadi jangal jangal
ai umr zara aahista chal
sahra mein tarare bharta hai ek bhola-bhaala mast hiran
dariya ki taraf bal khati hai ek saras ki lambi gardan
jote hue khet mein soti hai ek bir-bahuTi ki dulhan
pur-kaif hawa mein uDta hai ek dahshat ka mara hariyal
ai umr zara aahista chal
naghmon se gunji jati hai ye duniya ki mahfil sari
peDon par masti ka aalam shama ki lai se hai tari
sargam ke saton miThe sur tuti ke lab par hain jari
madhosh papiha gata hai sahra mein dard-angez ghazal
ai umr zara aahista chal
shayad kausar ki maujen bhi aise naghme bikhra na saken
mumkin hai ghilman ke gane itna tujh ko bahla na saken
jannat ki huren bhi shayad is rangin lai mein ga na saken
jis pancham sur mein gati hai ye barkha ki miThi koyal
ai umr zara aahista chal
do phul kanwal ke pani mein un par bhaunra hai yun raqsan
jis tarah kabutar hathon se chhoDe koi alhaD nadan
shayad in donon phulon mein hai ek salim ek nur jahan
mina-bazar banate hain pani mein do madhosh kanwal
ai umr zara aahista chal
wo chand ki sita bhagti hai Dar ke mare su-e-gulshan
wo us ka pichha karta hai tezi se baadal ka rawan
wo us ki jaanib baDhta hai ye apna bachati hai daman
aakash pe lanka ka manzar dikhlate hain chand aur baadal
ai umr zara aahista chal
sarhad par 'salam' is manzil ki naddi nale ka nam nahin
chatiyal maidan phir dhup kaDi aur pani ka ek jam nahin
pal bhar ke liye pagal ruk ja go rukna tera kaam nahin
main bhar lun miThe chashmon se ye apni miTTi ki chhagal
ai umr zara aahista chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.