basti basti parbat parbat gata jae banjara
bastī bastī parbat parbat gaatā jaa.e banjārā
le kar dil kā ik taarā
pal-do-pal kā saath hamārā pal-do-pal kī yaarī
aaj ruke to kal karnī hai chalne kī tayyārī
qadam qadam par honī baiThī apnā jaal bichhā.e
is jīvan kī raah meñ jaane kaun kahāñ rah jaa.e
dhan daulat ke pīchhe kyuuñ hai ye duniyā dīvānī
yahāñ kī daulat yahīñ rahegī saath nahīñ ye jaanī
sone chāñdī meñ tultā ho jahāñ diloñ kā pyaar
aañsū bhī be-kār vahāñ par aaheñ bhī be-kār
duniyā ke bāzār meñ āḳhir chāhat bhī bevpār banī
mere dil se un ke dil tak chāñdī kī dīvār banī
ham jaisoñ ke bhaag meñ likkhā chāhat kā vardān nahīñ
jis ne ham ko janm diyā vo patthar hai bhagvān nahīñ
bastī bastī parbat parbat gaatā jaa.e banjāra
basti basti parbat parbat gata jae banjara
le kar dil ka ek tara
pal-do-pal ka sath hamara pal-do-pal ki yari
aaj ruke to kal karni hai chalne ki tayyari
qadam qadam par honi baiThi apna jal bichhae
is jiwan ki rah mein jaane kaun kahan rah jae
dhan daulat ke pichhe kyun hai ye duniya diwani
yahan ki daulat yahin rahegi sath nahin ye jaani
sone chandi mein tulta ho jahan dilon ka pyar
aansu bhi be-kar wahan par aahen bhi be-kar
duniya ke bazar mein aaKHir chahat bhi bewpar bani
mere dil se un ke dil tak chandi ki diwar bani
hum jaison ke bhag mein likkha chahat ka wardan nahin
jis ne hum ko janm diya wo patthar hai bhagwan nahin
basti basti parbat parbat gata jae banjara
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 458)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.