birah git
shor machā hai sāvan aaya
gulzāroñ par joban aaya
chham-chham paanī baras rahā hai
milne ko bhī taras rahā hai
bijlī se māmūr ghaTā.eñ
tārīk-o-pur-nūr ghaTā.eñ
barkhā rut kī rain andherī
kaañp rahī hai chhātī merī
jis se javānī phūlī jaa.e
sāvan aaya tum nahīñ aa.e
ham donoñ the man ke bhikārī
prem-pujāran prem-pujārī
priit ke dīvāne the ham tum
sach-much afsāne the ham tum
donoñ meñ paimān-e-vafā thā
aur rag rag meñ ishq basā thā
phir nahīñ aate haiñ kyoñ vo din
chain nahīñ hai sājan tum bin
sabr kā pyāla chhalkā jaa.e
sāvan aaya tum nahīñ aa.e
ye ThanDī pur-kaif havā.eñ
tum aao to lutf uThā.eñ
bhīgī bhīgī raat suhānī
aur tāroñ kī zau-afshānī
saarī duniyā nikhar rahī hai
goyā chāñdī bikhar rahī hai
ye mausam aur tum se judā.ī
jū-e-tamanna yuuñ murjhā.ī
ranj-o-alam ke bādal chhā.e
sāvan aaya tum nahīñ aa.e
shor macha hai sawan aaya
gulzaron par joban aaya
chham-chham pani baras raha hai
milne ko bhi taras raha hai
bijli se mamur ghaTaen
tarik-o-pur-nur ghaTaen
barkha rut ki rain andheri
kanp rahi hai chhati meri
jis se jawani phuli jae
sawan aaya tum nahin aae
hum donon the man ke bhikari
prem-pujaran prem-pujari
prit ke diwane the hum tum
sach-much afsane the hum tum
donon mein paiman-e-wafa tha
aur rag rag mein ishq basa tha
phir nahin aate hain kyon wo din
chain nahin hai sajan tum bin
sabr ka pyala chhalka jae
sawan aaya tum nahin aae
ye ThanDi pur-kaif hawaen
tum aao to lutf uThaen
bhigi bhigi raat suhani
aur taron ki zau-afshani
sari duniya nikhar rahi hai
goya chandi bikhar rahi hai
ye mausam aur tum se judai
ju-e-tamanna yun murjhai
ranj-o-alam ke baadal chhae
sawan aaya tum nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.