chand
ham samjhe the ruuTh ke ham se aañsū aañsū royā chāñd
lekin tāroñ kā kahnā hai badlī oḌh ke soyā chāñd
kis ke dil par choT paḌī hai kis kī āñkheñ bhar aa.iiñ
kis ne ashkoñ ke sāgar meñ aap hī aap Duboyā chāñd
vo āñkhoñ kī ThanDak bhī thā hirdai kā santosh bhī thā
us kī qismat phuuT ke roī jis ke hāthoñ khoyā chāñd
vo bhī log haiñ jin se milne chāñd zamīñ par aatā hai
lekin ham ne har mausam meñ apne sar pe Dhoyā chāñd
chāñd ke hañste mukhḌe par jab dukh kī dhuul nazar aatī
ek divāne ne ro ro kar shabnam shabnam dhoyā chāñd
bastī vaale samjhe chandā badlī meñ hogā 'nasrīn'
lekin raat mire pahlū meñ mere aTariyā soyā chāñd
hum samjhe the ruTh ke hum se aansu aansu roya chand
lekin taron ka kahna hai badli oDh ke soya chand
kis ke dil par choT paDi hai kis ki aankhen bhar aain
kis ne ashkon ke sagar mein aap hi aap Duboya chand
wo aankhon ki ThanDak bhi tha hirdai ka santosh bhi tha
us ki qismat phuT ke roi jis ke hathon khoya chand
wo bhi log hain jin se milne chand zamin par aata hai
lekin hum ne har mausam mein apne sar pe Dhoya chand
chand ke hanste mukhDe par jab dukh ki dhul nazar aati
ek diwane ne ro ro kar shabnam shabnam dhoya chand
basti wale samjhe chanda badli mein hoga 'nasrin'
lekin raat mere pahlu mein mere aTariya soya chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.