dil mera Dolta hai
dil mirā Doltā hai
jo bhī naġhma hai mire kānoñ meñ ras gholtā hai
dil mirā Doltā hai
ye ghaTāoñ kā tarannum ye papīhe kī sadā
de rahī hai kisī bichhḌe hue mausam kā patā
mire ghuñghaT ko ḳhayāloñ meñ koī kholtā hai
dil mirā Doltā hai
aaj phir detī hai āvāz tirī priit mujhe
ābshāroñ ne sunā.e haiñ tire giit mujhe
maiñ vahāñ huuñ ki añdherā bhī jahāñ boltā hai
dil mirā Doltā hai
raushnī dil kī mujhe rāsta dikhlā.egī
yuuñ tire paas mirī aas pahuñch jā.egī
jaise parvāz ko panchhī koī par toltā hai
dil mirā Doltā hai
dil mera Dolta hai
jo bhi naghma hai mere kanon mein ras gholta hai
dil mera Dolta hai
ye ghaTaon ka tarannum ye papihe ki sada
de rahi hai kisi bichhDe hue mausam ka pata
mere ghunghaT ko KHayalon mein koi kholta hai
dil mera Dolta hai
aaj phir deti hai aawaz teri prit mujhe
aabshaaron ne sunae hain tere git mujhe
main wahan hun ki andhera bhi jahan bolta hai
dil mera Dolta hai
raushni dil ki mujhe rasta dikhlaegi
yun tere pas meri aas pahunch jaegi
jaise parwaz ko panchhi koi par tolta hai
dil mera Dolta hai
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 158)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.