dukh ki badli kab se phaili har ghar se puchho
dukh kī badlī kab se phailī har ghar se pūchho
dhartī chīḳh rahī hai kyoñ niile ambar se pūchho
bahrī ho ga.ī prem kī bastī
nagar pyaar kā gūñgā
harī-bharī dhartī ke mukh par
ḳhuun kā gahrā rishta
soch ke tan meñ chubhte zahrīle nashtar se pūchho
dhartī chīḳh rahī hai kyoñ niile ambar se pūchho
chāroñ taraf dukhoñ ke jangal
chintāon kī khaa.ī
aas ke māthe kī rekhā
niklī kitnī harjā.ī
sukh kī raah meñ paḌe hue dukh ke patthar se pūchho
dhartī chīḳh rahī hai kyoñ niile ambar se pūchho
jīvan kī arthī ke pīchhe
TuuTe phūTe chehre
chain aur ārām ke tan par
ghaav haiñ kitne gahre
chhup ga.iiñ āshāoñ kī kirneñ kis ke Dar se pūchho
dhartī chīḳh rahī hai kyoñ niile ambar se pūchho
dukh ki badli kab se phaili har ghar se puchho
dharti chiKH rahi hai kyon nile ambar se puchho
bahri ho gai prem ki basti
nagar pyar ka gunga
hari-bhari dharti ke mukh par
KHun ka gahra rishta
soch ke tan mein chubhte zahrile nashtar se puchho
dharti chiKH rahi hai kyon nile ambar se puchho
chaaron taraf dukhon ke jangal
chintaon ki khai
aas ke mathe ki rekha
nikli kitni harjai
sukh ki rah mein paDe hue dukh ke patthar se puchho
dharti chiKH rahi hai kyon nile ambar se puchho
jiwan ki arthi ke pichhe
TuTe phuTe chehre
chain aur aaram ke tan par
ghaw hain kitne gahre
chhup gain aashaon ki kirnen kis ke Dar se puchho
dharti chiKH rahi hai kyon nile ambar se puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.