git
adā ye tumhārī to hai dil-barāna
kabhī yaad rakhnā kabhī bhuul jaanā
mujhe bhejā karte the kitne hī naame
na aa.eñ to aate nahīñ haiñ lifāfe
adā ye tumhārī to hai dil-barāna
kabhī yaad rakhnā kabhī bhuul jaanā
vo milne kī bāteñ bichhaḌne kī ghāteñ
vo ashkoñ sitāroñ kī chaḌhtī barāteñ
adā ye tumhārī to hai dil-barāna
kabhī yaad rakhnā kabhī bhuul jaanā
mirā naam le kar sunāo kahānī
magar chhoḌ do tum vafā.eñ purānī
adā.eñ tumhārī to haiñ dil-barāna
kabhī yaad rakhnā kabhī bhuul jaanā
kabhī merī ġhazleñ paḌho tum sunā kar
kabhī in ko rakho sabhī se chhupā kar
adā.eñ tumhārī to haiñ dil-barāna
kabhī yaad rakhnā kabhī bhuul jaanā
ada ye tumhaari to hai dil-barana
kabhi yaad rakhna kabhi bhul jaana
mujhe bheja karte the kitne hi name
na aaen to aate nahin hain lifafe
ada ye tumhaari to hai dil-barana
kabhi yaad rakhna kabhi bhul jaana
wo milne ki baaten bichhaDne ki ghaten
wo ashkon sitaron ki chaDhti baraaten
ada ye tumhaari to hai dil-barana
kabhi yaad rakhna kabhi bhul jaana
mera nam le kar sunao kahani
magar chhoD do tum wafaen purani
adaen tumhaari to hain dil-barana
kabhi yaad rakhna kabhi bhul jaana
kabhi meri ghazlen paDho tum suna kar
kabhi in ko rakho sabhi se chhupa kar
adaen tumhaari to hain dil-barana
kabhi yaad rakhna kabhi bhul jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.