git
tang aa gayā rab
is tarah maiñ jiine se
ab lipaT ke rone de
mujh ko apne siine se
maiñ bahut akelā huuñ
haath thaam le merā
maiñ tujhe pukārūñ jab
tū bhī naam le merā
de sadā kabhī hañs kar
rahmatoñ ke ziine se
ab lipaT ke rone de
mujh ko apne siine se
meherbāñ baḌā hai tū
mujh pe meherbānī kar
haath rakh mire sar par
kuchh to qadrdānī kar
maiñ sajā ke laayā huuñ
pyaar kis qarīne se
ab lipaT ke rone de
mujh ko apne siine se
is jahāñ se kyā matlab
mujh ko saath de apnā
maiñ anāth huuñ kab se
naam naath de apnā
aa rahī hai ḳhushbū sī
tuur se madīne se
ab lipaT ke rone de
mujh ko apne siine se
tang aa gaya rab
is tarah main jine se
ab lipaT ke rone de
mujh ko apne sine se
main bahut akela hun
hath tham le mera
main tujhe pukarun jab
tu bhi nam le mera
de sada kabhi hans kar
rahmaton ke zine se
ab lipaT ke rone de
mujh ko apne sine se
meherban baDa hai tu
mujh pe meherbani kar
hath rakh mere sar par
kuchh to qadrdani kar
main saja ke laya hun
pyar kis qarine se
ab lipaT ke rone de
mujh ko apne sine se
is jahan se kya matlab
mujh ko sath de apna
main anath hun kab se
nam nath de apna
aa rahi hai KHushbu si
tur se madine se
ab lipaT ke rone de
mujh ko apne sine se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.