git
DhūñDā hai saarā jahāñ āvāz do
chhup ga.e ho tum kahāñ āvāz do
koī bhī suntā nahīñ merī pukār
koī bhī apnā nahīñ hai ġham-gusār
ab kisī kā kis liye ho intizār
jal rahā hai āshiyāñ āvāz do
chhup ga.e ho tum kahāñ āvāz do
zaḳhm apne ab dikhā.ūñ kis ko maiñ
ham-navā dil kā banā.ūñ kis ko maiñ
sun ke merī dāstāñ āvāz do
chhup ga.e ho tum kahāñ āvāz do
apnī ulfat kā fasāna yaad hai
vo tirā yuuñ ruuTh jaanā yaad hai
vo mirā tujh ko manānā yaad hai
suunā hai dil kā jahāñ āvāz do
chhup ga.e ho tum kahāñ āvāz do
DhunDa hai sara jahan aawaz do
chhup gae ho tum kahan aawaz do
koi bhi sunta nahin meri pukar
koi bhi apna nahin hai gham-gusar
ab kisi ka kis liye ho intizar
jal raha hai aashiyan aawaz do
chhup gae ho tum kahan aawaz do
zaKHm apne ab dikhaun kis ko main
ham-nawa dil ka banaun kis ko main
sun ke meri dastan aawaz do
chhup gae ho tum kahan aawaz do
apni ulfat ka fasana yaad hai
wo tera yun ruTh jaana yaad hai
wo mera tujh ko manana yaad hai
suna hai dil ka jahan aawaz do
chhup gae ho tum kahan aawaz do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.