git
man re tū sach hī kahtā hai
milan ke kaise bahāne hoñge
maiñ un se begānī Thahrī
vo bhī to anjāne hoñge
din to phir bhī kaT jā.egā
raat kī jab baarī aa.egī
aahaT aahaT dhaḌkan hogī
saañs saañs bhārī aa.egī
ye pal kaise bitāne hoñge
man re tū sach hī kahtā hai
soch meñ jab kho jā.ūñgī
aise meñ kuchh bol diyā to
haule-haule haath baḌhā kar
ghuñghaT kā paT khol diyā to
bikhre sapne suhāne hoñge
man re tū sach hī kahtā hai
sub.h kā sūraj jab jāgegā
sakhiyoñ sakhiyoñ charchā hogā
keval ek savāl uThegā
sājan ne kyā pūchhā hogā
galī galī afsāne hoñge
man re tū sach hī kahtā hai
man re tu sach hi kahta hai
milan ke kaise bahane honge
main un se begani Thahri
wo bhi to anjaane honge
din to phir bhi kaT jaega
raat ki jab bari aaegi
aahaT aahaT dhaDkan hogi
sans sans bhaari aaegi
ye pal kaise bitane honge
man re tu sach hi kahta hai
soch mein jab kho jaungi
aise mein kuchh bol diya to
haule-haule hath baDha kar
ghunghaT ka paT khol diya to
bikhre sapne suhane honge
man re tu sach hi kahta hai
subh ka suraj jab jagega
sakhiyon sakhiyon charcha hoga
kewal ek sawal uThega
sajan ne kya puchha hoga
gali gali afsane honge
man re tu sach hi kahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.