git
prem kā sāgar saa.eñ saa.eñ jab chaḌhtā hai
āvāzoñ kā relā ruk kar rah jaatā hai
pyaar ke jumle kānoñ meñ ras gholte haiñ
us dam man meñ bas ik chehra bas jaatā hai
badlī jaise sahrā ko jal-thal kartī hai
ulfat ke daurān bhī aisā hotā hai
lekin vo jo raah badalne meñ māhir haiñ
maazī un ko ġhair aham be-ras lagtā hai
ik āvāra bādal jaisā un kā jīvan
yaañ Thahrā vaañ barsā aur phir chal paḌtā hai
pyaar amar hotā hai jag meñ us āshiq kā
tāj-mahal jis dil ke andar ban jaatā hai
prem ka sagar saen saen jab chaDhta hai
aawazon ka rela ruk kar rah jata hai
pyar ke jumle kanon mein ras gholte hain
us dam man mein bas ek chehra bas jata hai
badli jaise sahra ko jal-thal karti hai
ulfat ke dauran bhi aisa hota hai
lekin wo jo rah badalne mein mahir hain
mazi un ko ghair aham be-ras lagta hai
ek aawara baadal jaisa un ka jiwan
yan Thahra wan barsa aur phir chal paDta hai
pyar amar hota hai jag mein us aashiq ka
taj-mahal jis dil ke andar ban jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.