git
rang-birange ḳhvāb saje haiñ sājan palak muñDer
ab mat karnā der
bachchoñ ke mukh jaise sab din
shahd meñ Duube saare pal chhin
mor-pañkh sī jhil-mil shāmeñ
sard havā aur bhīgī rāteñ
tum jo lāoge sauġhāteñ
soch soch ke man lahrā.e
jab tum hoge paas hamāre
duur gagan meñ chāñd sitāre
dekh dekh kar sharmā.eñge
tum meñ mujh meñ kho jā.eñge
phir pardes kī baat sunānā
maiñ rūThūñgī mujhe manānā
mere sājan jaldī aanā
jaldī aanā pake hue haiñ berī ke sab ber
ab mat karnā der
rang-birange KHwab saje hain sajan palak munDer
ab mat karna der
bachchon ke mukh jaise sab din
shahd mein Dube sare pal chhin
mor-pankh si jhil-mil shamen
sard hawa aur bhigi raaten
tum jo laoge saughaten
soch soch ke man lahrae
jab tum hoge pas hamare
dur gagan mein chand sitare
dekh dekh kar sharmaenge
tum mein mujh mein kho jaenge
phir pardes ki baat sunana
main ruThungi mujhe manana
mere sajan jaldi aana
jaldi aana pake hue hain beri ke sab ber
ab mat karna der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.