Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

git

rim-jhim sāvan barse lekin sāvan jaisī baat nahīñ

jīvan-path par chalne vaalā koī sāthī saath nahīñ

tujh bin sāvan aisī bairan janam janam jaise sautan

rut bhīgī hai suunā hai man har ik buuñd baḌhā.e uljhan

ġham bheñT chaḌhāne ko ab āñkhoñ meñ sauġhāt nahīñ

rim-jhim sāvan barse lekin sāvan jaisī baat nahīñ

achchhī prem baazī haarī choT lagī o man par kaarī

mujh par aisā vaqt hai bhārī bol na pā.ūñ maiñ dukhiyārī

jitnī merī raam kahānī utnī lambī raat nahīñ

rim-jhim sāvan barse lekin sāvan jaisī baat nahīñ

kis ko apnā dard sunā.ūñ yādoñ tasvīr dikhā.ūñ

āshāoñ ke diip jalā.ūñ phir ashkoñ se un ko bujhā.ūñ

andar jitnī barkhā barse bāhar vo barsāt nahīñ

rim-jhim sāvan barse lekin sāvan jaisī baat nahīñ

rim-jhim sawan barse lekin sawan jaisi baat nahin

jiwan-path par chalne wala koi sathi sath nahin

tujh bin sawan aisi bairan janam janam ki jaise sautan

rut bhigi hai suna hai man har ek bund baDhae uljhan

gham ki bhenT chaDhane ko ab aankhon mein saughat nahin

rim-jhim sawan barse lekin sawan jaisi baat nahin

achchhi prem ki bazi haari choT lagi o man par kari

mujh par aisa waqt hai bhaari bol na paun main dukhiyari

jitni meri ram kahani utni lambi raat nahin

rim-jhim sawan barse lekin sawan jaisi baat nahin

kis ko apna dard sunaun yaadon ki taswir dikhaun

aashaon ke dip jalaun phir ashkon se un ko bujhaun

andar jitni barkha barse bahar wo barsat nahin

rim-jhim sawan barse lekin sawan jaisi baat nahin

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now