git
gul-dān kī miTTī hañstī hai
bārūd tirā kyā kaam yahāñ
ye ḳhvāb-garoñ kī bastī hai
rangoñ ne lahr banā.ī hai armān ke gahre sāgar meñ
kuchh pañkh lage haiñ kashtī meñ kuchh panchhī bas ga.e manzar meñ
sunte haiñ nirāshā ghar ghar meñ jākar āvāzeñ kastī hai
gul-dān kī miTTī hañstī hai
dhartī par maanā duur talak kuchh log tire dīvāne haiñ
ākāsh ke pannoñ par tere missile ke afsāne haiñ
lekin jo tire mastāne haiñ kyā un meñ ham sī mastī hai
gul-dān kī miTTī hañstī hai
ai chingārī kī rāhguzar jā ab hai chāñd utarne ko
ik kalī meñ chāñdī pighlegī ik gul meñ hai sonā bharne ko
aur is kī tamanna karne ko sautan bekār tarastī hai
gul-dān kī miTTī hañstī hai
gul-dan ki miTTi hansti hai
barud tera kya kaam yahan
ye KHwab-garon ki basti hai
rangon ne lahr banai hai arman ke gahre sagar mein
kuchh pankh lage hain kashti mein kuchh panchhi bas gae manzar mein
sunte hain nirasha ghar ghar mein jakar aawazen kasti hai
gul-dan ki miTTi hansti hai
dharti par mana dur talak kuchh log tere diwane hain
aakash ke pannon par tere missile ke afsane hain
lekin jo tere mastane hain kya un mein hum si masti hai
gul-dan ki miTTi hansti hai
ai chingari ki rahguzar ja ab hai chand utarne ko
ek kali mein chandi pighlegi ek gul mein hai sona bharne ko
aur is ki tamanna karne ko sautan bekar tarasti hai
gul-dan ki miTTi hansti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.