gond se maine mathe par jo
goñd se maiñ ne māthe par jo
bindiyā aaj sajā.ī
vo bindiyā thī pītam pyārī
vo hī maiñ kho aa.ī
bindiyā huī parā.ī
sajnī bindiyā huī parā.ī
piit gagan kī uushā thī vo
DhūñD ke lā de koī
bindiyā kaahe khoī
maiñ ne bindiyā kaahe khoī
sājan ke aane kī belā na kahīñ chandā na kahīñ taarā
chāroñ or amāvas mere gahnāyā mukhḌā ujyārā
bindiyā kaahe khoī
maiñ ne bindiyā kaahe khoī
sājan aa.e un se bolī maiñ khoī bindiyā torī
DhūñD ke lā de khoī bindiyā jo thī mukh manDal par sohī
bindiyā maiñ ne khoī torī bindiyā kaahe khoī
sājan bole bin bindiyā ke aur bhalī tū laage
terā mukh pūnam kā chandā tū kyoñ bindiyā māñge
maiñ bolī jab paas tū nāhīñ bindiyā paas to hove
bindiyā paas to hove torī bindiyā paas to hove
bindiyā DhūñD ke lā de pītam bindiyā DhūñD ke lā de
bindiyā kaahe khoī maiñ ne bindiyā kaahe khoī
torī bindiyā kaahe khoī
gond se main ne mathe par jo
bindiya aaj sajai
wo bindiya thi pitam pyari
wo hi main kho aai
bindiya hui parai
sajni bindiya hui parai
pit gagan ki usha thi wo
DhunD ke la de koi
bindiya kahe khoi
main ne bindiya kahe khoi
sajan ke aane ki bela na kahin chanda na kahin tara
chaaron or amawas mere gahnaya mukhDa ujyara
bindiya kahe khoi
main ne bindiya kahe khoi
sajan aae un se boli main khoi bindiya tori
DhunD ke la de khoi bindiya jo thi mukh manDal par sohi
bindiya main ne khoi tori bindiya kahe khoi
sajan bole bin bindiya ke aur bhali tu lage
tera mukh punam ka chanda tu kyon bindiya mange
main boli jab pas tu nahin bindiya pas to howe
bindiya pas to howe tori bindiya pas to howe
bindiya DhunD ke la de pitam bindiya DhunD ke la de
bindiya kahe khoi main ne bindiya kahe khoi
tori bindiya kahe khoi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.